Ek BACHPAN ka ZAMANA tha.

Ek BACHPAN ka ZAMANA tha.
khushiyo ka khazana tha.
Chahat Chand ko pane ki,
DIL titli ka Diwana tha.
khabar na thi kuch Subah ki,
Na Sham ka thikana tha.Thak-haar ke aana school se,
... Par khelne b jana tha.
Barish me kagaz ki kashti thi,
Har Mousam suhana tha.
Har khel me Sathi the,
Har Rishta nibhana tha.Gam ki juban na hoti thi,
Na jakhmo ka paimana tha.
Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha.
Ab nahi rahi wo Zindgi.
Jaisa BACHPAN ka ZAMANA tha.

कोई टिप्पणी नहीं: